𝐈𝐣𝐚𝐚𝐳𝐚𝐭 (𝟏𝟏 𝐒𝐞𝐩𝐭𝐞𝐦𝐛𝐞𝐫, 𝟏𝟗𝟖𝟕 𝐅𝐢𝐥𝐦)
𝐏𝐥𝐚𝐲𝐛𝐚𝐜𝐤 𝐒𝐢𝐧𝐠𝐞𝐫 - 𝐀𝐬𝐡𝐚 𝐁𝐡𝐨𝐬𝐥𝐞 (𝐀𝐬𝐡𝐚 𝐌𝐚𝐧𝐠𝐞𝐬𝐡𝐤𝐚𝐫)
𝐋𝐲𝐫𝐢𝐜𝐢𝐬𝐭 - 𝐆𝐮𝐥𝐳𝐚𝐫 (𝐒𝐚𝐦𝐩𝐨𝐨𝐫𝐚𝐧 𝐒𝐢𝐧𝐠𝐡 𝐊𝐚𝐥𝐫𝐚)
𝐌𝐮𝐬𝐢𝐜𝐢𝐚𝐧 - 𝐑.𝐃. 𝐁𝐮𝐫𝐦𝐚𝐧 (𝐑𝐚𝐡𝐮𝐥 𝐃𝐞𝐯 𝐁𝐮𝐫𝐦𝐚𝐧)
𝐃𝐢𝐫𝐞𝐜𝐭𝐨𝐫 - 𝐆𝐮𝐥𝐳𝐚𝐫
------------------------------------------------------------
मेरा कुछ सामान तुम्हारे पास पड़ा है
सावन के कुछ भीगे-भीगे दिन रखे हैं
और मेरे इक खत में लिपटी राख पड़ी है
वो राख बुझा दो, मेरा वो सामान लौटा दो...
पतझड़ में कुछ पत्तों के, गिरने की आहट
कानों में इक बार पहन के लौटाई थी
पतझड़ की वो शाख अभी तक कांप रही है
वो शाख गिरा दो, मेरा वो सामान लौटा दो...
इक अकेली छतरी में जब आधे-आधे भीग रहे थे
आधे सूखे, आधे गीले, सुखा तो मैं ले आयी थी
गीला मन शायद बिस्तर के पास पड़ा हो
वो भिजवा दो, मेरा वो सामान लौटा दो...
एक सौ सोलह चांद की रातें, एक तुम्हारे कांधे का तिल
गीली मेंहदी की खुशबू, झुठमूठ के शिकवे कुछ
झूठमूठ के वादे भी सब याद करा दूँ
सब भिजवा दो, मेरा वो सामान लौटा दो....
एक इजाज़त दे दो बस, जब इसको दफ़नाऊँगी
मैं भी वहीं सो जाऊंगी, मैं भी वहीं सो जाऊंगी
~ गुलज़ार ~
Mera Kuch Samaan Tumhare Paas Pada Hai
Saawan Ke Kuch Bheege-Bheege Din Rakhe Hain
Aur Mere Ikk Khat Mein Lipti Raat Padi Hai
Wo Raat Bujha Do, Mera Wo Samaan Lauta Do
Mera Kuch Samaan.....
Patjhad Mein Kuch Patton Ke, Girne Ki Aahat
Kaanon Mein Ek Baar Pehan Ke Lautaayi Thi
Patjhad Ki Wo Shaakh Abhi Tak Kaanp Rahi Hai
Wo Shaakh Gira Do, Mera Wo Samaan Lauta Do....
Ek Akeli Chhatri Mein Jab Aadhe-Aadhe Bheeg Rahe The
Aadhe Sookhe, Aadhe Geele, Sookha To Main Le Aayi Thi
Geela Mann Shayad Bistar Ke Paas Pada Ho
Wo Bhijwa Do, Mera Wo Samaan Lauta Do
Ek Sau Solaah Chaand Ki Raatein, Ek Tumhare Kaandhe Ka Til
Geeli Mehndi Ki Khushboo, Jhoot Mooth Ke Shikwe Kuch
Jhoot Mooth Ke Waade Bhi Sab Yaad Kara Doun
Sab Bhijwa Do Mera Wo Samaan Lauta Do
Ek Ijaazat De Do Bas, Jab Isko Dafnaungi
Main Bhi Wahin So Jaungi, Main Bhi Wahin So Jaungi
~ Gulzar ~
𝐌 𝐀 𝐔 𝐒 𝐈 𝐐 𝐔 𝐈 💙
Record Lable - hmv (His Master’s Voice)
Like And Follow Me On Facebook And Instagram
👇
Facebook: 166Bo7Pbe7
👇
Facebook: Mausiqui-109858394001175
👇
https://instagram.com/mausiquii?igshi...
#AshaBhosle
#Gulzar
#RDBurman
#Pancham
#GulzarSahab
#WAVAudio
#FullAudioVideo
#GulzarShayari
#GulzarSahabPoetry
#GaaneNayePurane
#GaaneSuneAnsune
#OldIsGold
#PuraneGaane
#BollywoodSongs
#OldSong
#OldSongs
#Mausiqui
Disclaimer - This Channel Is Only For Entertainment Purposes
The Copyrights For The Videos That We Post Are Only With The Original Owners Of The Content, And We DO NOT Claim Any Ownership To These Videos By Uploading Them To Our Channel
We Only Upload These Videos As We Are Music Lovers And Enjoy Entertaining Our Subscribers With The Best Possible Audio And Video Quality Of Any Piece Of Music
Moreover Our Channel Is Neither Monetised Now, Nor Will Ever Be, Hence We Are Not Earning Anything Through These Videos Or The Ads That Might Have Been Included In Our Videos

Hum Ne Aksar Logon Ko Poochhte Dekha Hai Ke "116 Chaand Ki Raaton Ka Kya Matlab Hai?" Is Ke Baare Mein Aksar Log Sawaal Karte Hain, Aur Kayi Logon Ne To Directly Aur Indirectly Gulzar Sahab Se Bhi Is Line Ka Matlab Poochha Hai
Gulzar Sahab Ne Khud To Is Ke Jawaab Mein Yehi Kaha Hai Ke "Ginti Mein Ghalti Ho Gayi Mujhse, Main Hisaab Mein Kamzor Houn, Is Liye 116 Likh Diya, 117 Likhna Tha"
Lekin Bohat Se Articles Mein Logon Ne Apne Hisaab Se Is Line Ki Meaning Nikaali Hai, Kisi Na Kaha Ke "Ye Shayad Un 4 Mahino Mein Guzri Hui Chaand Ki Raaton Ke Baare Mein Hai, Jo Maya Ne Mahinder Ke Saath Guzaari, 4 Mahine Matlab 120 Din, Un Mein Se 4 Amavas Ki Raatein Nikaal Dein To 116 Raatein Banti Hain" Lekin Mushkil Yahan Aan Padi Ke Movie Mein Ya Gulzar Sahab Ne Khud Kabhi Ye Nahin Bataya Ke Asal Mein Maya Kitna Waqt Mahinder Ke Saath Rahi
Kisi Ne Kaha Ke "Shayad Gulzar Sahab Ne Kaheen Padha Ya Suna Ho Ke Ek Saal Mein Chaand Jitni Baar Apni Kalayein Badalta Hai, Us Ki Ginti 116 Hoti Hai, Aur Is Liye Ye Number Unhone Likha" Lekin Chaand To Apni Kala Har Roz Badalta Hai, Aur Kisi Bhi Hisaab Se Is Ki Ginti 116 Nahin Banti
Kisi Ne Ye Bhi Likha Hai Ke "Ye Shayad Ek Random Number Hai, Jo Us Waqt Gulzar Sahab Ke Mind Mein Aaya Hoga, Aur Unhone Likh Diya" Ho Sakta Hai Aisa Hi Ho
Ek Aur Jagah Kisi Ne Likha Ke "116 Chaand Ki Raaton Ki Ginti Kabhi Bhi 116 Chaand Ki Raaton Ki Thi Hi Nahin, Balke Ye Line To Is Baat Ko Batati Hai Ke Kisi Ne Apne Premi Ke Saath Guzaari Hui Raaton Ka Hisaab Rakha, Wo Hisaab Kitna Tha, Wo Ginti Kya Thi, Ye Kabhi Mudda Hi Nahin Tha, Mudda To Ye Tha Ke Kisi Ne Hisaab Rakha"
Ab Hum Aapko Apna Point Of View Batate Hain "𝐌𝐀𝐔𝐒𝐈𝐐𝐔𝐈" Ka Point Of View
Movie Mein Sudha (Rekha Ji) Mahinder (Naseeruddin Shah Ji) Ko Keh Ke Maya (Anuradha Patel Ji) Ka Saara "Tangible" Saamaan Waapas Bhejti Hai, Tangible Matlab Jis Ko Wo Dekh Sakte Hain, Chhuu Sakte Hain
Lekin Jaisi Maya Hai, Us Ke Liye Wo Tangible Saamaan Zyada Qeemat Nahin Rakhta, Zyada Value Nahin Rakhta, In Fact Jaisi Maya Hai, Us Ke Liye "Intangible" Saamaan Zyada Qeemti Hai, Ab "Intangible" Saamaan Ka Kya Matlab Hai?
Jab Bhi Hum Kisi Bhi Rishte Mein Hote Hain, Chaahe Wo Koi Bhi Rishta Ho, Premi, Aashiq, Pati Patni, Maa Baap, Behen Bhai, Bache, Dost, Rishtedaar, Colleagues Etc. Hum Unhein Apna Waqt Dete Hain, Apne Emotions Dete Hain, Apni Hansi, Apne Aansoo Dete Hain, Apni Khushi Apna Gham Dete Hain...Chhoti Chhoti Baatein Hoti Hain Jo Sirf Wo Do Log Hi Jaante Hain Jo Us Rishte Mein Ek Saath Ho, Chaahe Wo Koi Bhi Rishta Ho...Is Ke Saath Kuch Khushbooyein Hoti Hain, Jo Humein Humare Bachpan Mein Le Jaati Hain, Jaise Maa Ke Haath Ki Bani Hui Daal, Ka Kachori, Ya Kisi Sabun Se Haath Dhote Hue Nani Ka Ghar Yaad Aa Jaata Hai Jahan Hum School Ki Chhuttiyaan Guzaarne Jaate The, Haina?
Waise Hi Is Geet Mein Maya Mahinder Se Wo "Intangible" Saamaan Waapas Maang Rahi Hai, Wo Hansi, Khushi, Aansoo, Jhoot Mooth Ka Roothna, Wo Baarish Mein Ek Chhatri Ke Neeche Bheegna, Wo Mehndi Ki Khushboo Jo Ab Maya Ko Humesha Us Waqt Ki Yaad Dilayegi Jo Us Ne Mahinder Ke Saath Guzaara, Wo Mahinder Ke Kaandhe Ka Til, Wo Patjhad Mein Jab Patte Gire Honge Aur Un Ki Madham Aahat Maya Aur Mahinder Ke Kaano Mein Aayi Hogi...
Maya Kehti Hai Ke Wo Saamaan Jo Tum Dekh Sakte The, Chhuu Sakte The, Wo To Tum Ne Mujhe Lauta Diya, Lekin Us Ke Ilawa Jo Saamaan Tumhare Paas Rakha Hai, Wo Bhi To Lautao Na, Kyunke Wo Jaanti Thi Ke "Wo Saamaan" Mahinder To Kya, Duniya Mein Se Koi Bhi Maya Ko Nahin Lauta Sakta Tha, Aur Wohi Saamaan Maya Ki Nazar Mein Zyada Qeemti Hai, Humari Video Ke Shuroo Mein Jo Dialogue Hai, Us Mein Mahinder Apne Haath Mein Maya Ka Taar Utha Kar Sudha Se Kehte Hain Ke "This Is Maya" Because That Was Maya...Maya Ke Liye Wo Sab Saamaan Jo Sudha Ne Waapas Bheja Koi Qeemat Nahin Rakhta Tha, Us Ke Liye Important Tha Wo Saamaan Jis Ke Baare Mein Us Ne Apne Taar Mein Likha Tha 🤗
Maya Ka Taar Sunte Hue Humein Ye Ehsaas Bhi Hota Hai Ke Us Ko Dukh Hua Ke Mahinder Ne Us Ka "Saamaan" Us Ko Waapas Bhijwaya, Kya Itna Asaan Tha Mahinder Ke Liye Us Ke "Saamaan" Se Door Hona? Kitni Asaani Se Mahinder Ne Wo Saara Saamaan Lauta Diya? Zara Bhi Nahin Socha Ke Maya Kitna Hurt Hogi? Chalo Maan Liya, Lauta Diya, Lekin Mahinder Wo Saamaan Bhi To Lautaye Jis Ka Zikr Maya Ne Apne Taar Mein Kiya Hai, Wahan Mahinder Aur Sudha, Dono Ke Paas Shabd Nahin The, Balke Sudha To Yahan Tak Kehti Hai Ke "Main Ne Kyun Wo Saamaan Maya Ko Bhijwaya? Yun Bhi Humare Beech Maya Har Waqt Rehti Hai, Us Ka Saamaan Bhi Reh Jaata To Kya Farq Padta?"
Aakhir Mein Maya Yehi Kehti Hai Ke Wo Saamaan Mujhe Tum Waapas Nahin De Sakte, Lekin Ek Ijaazat De Do, Ke Jab Main Wo Saamaan Kaheen Dafnaoun, To Main Bhi Waheen So Jaoun, Main Bhi Waheen So Jaoun...